Friday, April 12, 2013

Chandragupt aur Chanakya


Chandragupt aur Chanakya -

Tuesday, May 15, 2012

Saturday, December 12, 2009

bas nahin apna

ik khushnuma lamha aakar gujar gaya
kya hua kuch door sath chle,
kya hua chalkar bichad gaye.

socho ek khoobsurat mod na de sake
varna yaad aate umra bhar

par abhi kya
yaad to aate abhi bhi
aankhon ko nam kar jaate abhi bhi

sochta hu, itni puraani baat
kaise yaad aati hai
kyun yaad aati hai
par yaadon par to bas nahin apna.

sochta hu sapnon me bhi aa jaate ho
kaise aate ho
kyun aate ho
par sapno par to bas nahi apna

barson se nahin dekha aapko
par lagtaa hai har pal dekha hai tumko
par kya karoon
yaadon par to bas nahin apna

baat karta hoon to jubaan pe naam aapka
kyun aata hai
kaise aata hai
par kya karoon
baaton par ab bas nahin apna

jab jab bhulayaa aapko, aap hi aap najar aaye
kya karoon ab
kaise karoon ab
ab to apne aap par bhi bas nahin apna

Sunday, November 22, 2009

dile nadan

dile nadaan tujhe hua kya hai,
aakhir is dard ki dava kya hai,
hamko unse hai wwafa ki ummeed,
jo nahin jaante wafa kya hai.

Friday, November 20, 2009

poem 1

soche the doobkar dariya me nahaange kabhi,
mai haath dho na saka, vo itna kam nikla,
vafaaen bahut sochi thi tere liye hamne,
ek din tune hi kaha ki mai bada badchalan nikla.

poem

naaj tha jin aansuon pe mujhe,
vo unke saamne bhi kam nikla,
boye the jis jameen par beej hamne,
ug na sake, vo itna banjar nikla.